Thursday, July 1, 2010

love is life

Zindagi Sazaa Banke Reh Gai HaiAaj Phir Faans Chubhke Reh Gai Hai...Kis Tarha Khud Ko Samjhaata MainAaine Me Dhool Jamke Reh Gai Hai...Aangan Me Nikalaa Roz Suraj MagarUmmiid Kahiin Dhalke Reh Gai Hai...Sab Raaste Apni Jagah Chalte RaheManzil Saamne Thamke Reh Gai Hai...Jalti Hai Jaise Shama Teergi MaiNAise Saari Um'r Pighalke Reh Gai Hai...Likh di Jo Kitaab Khuda Ne Kismat KiWoh 'Naresh' Ki Haqikat Banke Reh Gai Hai...

teri chaukhat pe baitha hoon fakiroN ki tarahcharagoN ke talle chipta hoon andheroN ki tarahishq-e-wafaa ke sang wo khub padhe kalmefarebi yaar haji, main wafadaar kafiroN ki tarahhukmurano ki chali wo ek shatir si challadta raha hoon, us bisaat pe main vaziroN ki tarahsabr kahan raha mujhme ab itna bakiroshan aaj bhi hoon, tut.Te hue sitaroN ki tarahkuch bhi na raha aakhri me pass merekhub luta maine khud ko, apne hi yaaroN ki tarah


Aao bechu kya khareedogeMol meri wafa ka kya doge
Woh bhi maujood aur chand bhi hoAb karo faisla Kya dekhoge
Muflisi bhi rahi mohabbat bhiHai wahi silsila kya lautoge
Itni fursat kaha zamane meTum akayle bhala kya sochoge
Jism sehra hua hai ab GhayelAshk na khoo.N kya nichodoge
Saari duniya hai jungleIs main insaan hain mungleJo bhi hai wo,aaj hi haiAanae wala,koi na palPaer sanmbhal kae rakhna tuNeechae taerae hai daldalRukna maut ka dooja naambardhta hi chal,bardhta chalMushkil sae mat ghabra tuMushkil ka ker koi halhal...solutionMehnat sae mat aankh churaMehnat ka hai,meetta phalKaam adhora aaj na chordKaam bardhaega issae kalGhum sae bardh ker haath milaHokae paraeshan,haath na malaaj sanwara khud ko RAZKal bigdaegi aur shakalrazia Yasmeen RAZ


badi aarzoo thi rahen muskuratezamane ko shayad ye manzoor na thatamanna thi rehne ki khushiyan lutatemila gam, na samjhe the, kasoor kya tha ? kehta tha har koi .. bolo zuban sekehne ko baaki raha kuch kahan tha ?


Gamon ke saaye me Mohabbat parvaan hoti haiSulagte armaan ke haaton me kamaan hoti haiBahut mushkil hota hai dil pe qaaboo rakhnaAashiq ki toh mehbooba zubaan hoti haikar na sako izhar-e-ishq to gam na karnaDil me dhadhakti aag hi iski pahchaan hoti haiUske deedar ko taraste hain bheege nainaAankhon me chupa tasavvur uski jaan hoti haiDard bhara hai isme phir bhi parvaane jalte hainKya hai raaj aisa ki zindgiyan kurbaan hoti hainKaise kahe 'ishk' is afsaane ko, bas itna janoMohabbat karna bhi zindagi ki shaan hoti hai

Kismat apni beraNg likhi kisi likhne wale Shatir ne,Na jaane kya zindgi likhi us likhne wale Shatir ne...Khushi koi mehsus huyi na mehsus hua koi gum apna,ToDh diya bus chalte firte mera usne har ek sapna..Sapna kya? jo jo tha apna usko mujhse door kiya,Dooriyo.N saNg rehte rehte maine jeena seekh liya...Aaj mujhe koi gum hai, na koi aaj shikayat hai,hume.N bhi likhna sikha diya us likhne wale Shatir ne...

jaanaa thaa maine tujh ko tujh se bhee zyaadaaHchaahaa thaa maine tujh ko had se bhee zyaadaaHaitbaar tujh pe thaa kiyaa Khud se bhee zyaadaaHmaanaa thaa maine tujh ko rab se bhee zyaadaaHbaiThaa huN taNhaa kone meiN gumsum saa maiNyaad ti'ri aaj to aati hai kal se bhee zyaadaaHaayiiN kahaaN se kaDwaahaT dil meiN terebaateN ti'ri haseeN thi bahot gul se bhee zyaadaaHmeree duaa haii tujh ko mil jaayeN " saathii "kismat ti'ree achchhi ho "Dhaval " se bhee zyaadaaH


Koi Baat Dil Se Yun Naa Lagaya KaroBadle Halaat Toh Aise Naa Ghabraya Karo...Har Taraf Dhund Hai Nazar Aayega KaiseMausm Ke Mijaz Ko Zara Samajh Jaya Karo...Sadak Se Lambi Zindagi Hai Chalte RahogeAaye Kahin Darakht Toh Shaam Biitaya Karo...Mumkiin Hai Yaadon Ke Ghar Bana Bhi LoTuutne Pe Unke Aansoon Naa Bahaya Karo...Deke Intezaar Ke Lamhe Jana Acha Nahi'Naresh" Tum Waqt Pe Ghar Aaya Karo...

Jaane Kyun Maan Pareshan Sa HaiDil Mai Uthaa Ek Tufaan Sa Hai
Sau Sawalon Me Uljhi Padi Hai zindagiMann Bana Jaise Shamshaan Sa Hai
Aaine Se Pucha Humne Jub Bhi Iska SababWoh Kehtaa Ye Tera Imtihaan Sa Hai
Koi Khata Toh Bata Aey Mare MaalikKya Mera Gunhaa Itna Haiwaan Sa Hai
Kub Tak Sahe Dard-e-Zindagi "Radhika"Kyu Tu Mare Liye Bana Nadaan Sa Hai



MuddatoN baad kalam thaamne ki himaat ki hai, waqt ke saath chal rahi jung me bhut pichad gaya huN, par haaN haar nahin maani hai, bas shayad isiliye kalm uthaa li, poori post karne ki himmat nahiN hui, kyuNki pata tha kaafi sawaal uth khade honge, aur sawaalon ke jawaab dene ka shayad waqt na mil paaye, bas maafi ke saath,aaj na koi paraya hai ,na koi apna hai,, shayad isiliye uthi dil me likhne ki tamanna hai,, jab bhi swal kiya zindagi se apni kismat ka maine, na mli haaN, na hui kabhi naa hai,, badkismati meri ki maiN rota raha kushiyoN pe, pat chala jab apne gumoN pe rota dekha insaN hai,, swal uthaa mere dil me ki maiN kyuN hooN, jawaab aaya ki dhooNd pehle tu kahN hai,, thak sa gaya tha maiN in sab se, ki tabhi jana "ghayal" kabhi haara kahaaN hai....!!har naye dard ke aane se, pichla utar gaya,ishq na dard hi sahi apna asar to kar gaya.Yahaan badnaseebi v roti hai apne naseeb pe,Jo har bigde kaam ka kasoor usi ke sar gaya.hum seena taane khade hone pe maare gaye, par,bachpan me to suna tha,jo darr gaya so marr gaya.vo waqt aur tha jo bhool ke log ghar ko aate the,ab to jo bhatka vo kabhi na vapas ghar gaya.Log kehte haiN ki waqt har ghum bhar deta hai,kisi anaath se poocho, kitna dard ka asar gaya.Gar jo joodiyaan aasmaan me bana karti haiN,to kyuN suhaagraat se pehle hi koi marr gaya.Jo maanga maine apni zindagi ka lokha jokha,na jane kyuN vo upar wala bhi mukar gaya.Kab tak dekhun kal ko maiN aaj me gumte hue,Ghayal ka dil v ab is jahaaN se bhar gaya.
Aek din,Main nae daekha aek andhae bhikari koSadak kinarae,wo baetta tha apni chadar perHer janae walae,sae wo kehtaRehem karo mujhae bheek main daedo kuch toKoi usae suna-un-suna ker jjata thakisi nae hiqarat sae phaenkae dus paesaeJisae us nae donoan hathoan sae uttalya Kisi nae jhuk kae saleeqhae sae dii khaeratAur aek anokha manzer, daekha main naeAek hatta, katta,shaks uskae khareeb ayalagta tha mujhae to wo koi heroMain nae samjha ,Daena giya hai wo khaeratMagarwo badi maharat sae whan jhuka aur......samaet kae laegiya uski saari khaeratMain to soach main perd giyaAndha,mazoor ,Kaun Hai?wo andha faqheer?jo bhooka,piyasa baetta khaerat maang raha thaYa wo !Jo uski jama poonji ko laekae bhaga tha


tinka bher hi hai jindagi tum mujhe jee lene dojaane kab sath chhod de hash ke ghum pi lene dobahut bekraari hai ab to es tan mein sanammer ker bhi amar hone ka sukh to ji lene dojo chhup ker baitha hoon dil mein tumharedil se baate kerne ka bheram mujhe pi lene dona jaane kab kat jaaye door udati patang kikuchh pal hi sahi aazad hava mein ji lene dojeevan per chhaya hai jo "Akant" ka darpanarpan ker du yah janam yahi keram ji lene do





Chale aaye aazmane humko kabhi kabhiYaad aaye guzre zamane humko kabhi kabhi
Kuch is tarah hai shamil gham meri zindagi meKhushiya lage rulane humko kabhi kabhi
Tanhaeeyo ka aalam itna hua musalsalMile mehfilo me veerane humko kabhi kabhi
Yu bhulaya khudko yaad me kisi kiMile aaino me begane humko kabhi kabhi
Ab roothna bhi mera kaam nahi aataWoh jo aa jate the manane humko kabhi kabhi

Chale aaye aazmane humko kabhi kabhiYaad aaye guzre zamane humko kabhi kabhi

No comments:

Post a Comment