Tuesday, September 7, 2010

APNE

Aaj mai is sheher me anjaan nazar aata hu..
Apne he kamre me mehmaan nazar aata hu...

Yu to kamayi hai daulat bahut,
yu to kamayi hai shohrat bahut..
Yu Kehne ko hain apne bahut...
Par 'GHAR' se door in mehfilo me shamshaan nazar aata hu...

Dil me hain kehne ko baate kaii,
ro ro guzaari hain raate kaii,
wo papa ki fatkaar, wo mummy ka pyaar...
Sabki yaad aate he veeraan nazar aata hu...
Aaj is sheher me anjaan nazar aata hu...

Chala aaya tha door, karne ko,
poora ik sapne ko...
Aaj poora karne me safal ho gaya hu..
Par apne dil se he mai.. beimaan nazar aata hu...
Aaj is sheher me anjaan nazar aata hu...

Kaun hai jisko mai bhaiya bulaau,
apne dil ki sab baate usko bataau..
Wo behna ka pyaar, wo dost, wo yaar..
Ab Aks dekh apna.. Hairaan nazar aata hu..
Aaj is sheher me anjaan nazar aata hu...
Apne he kamre me mehmaan nazar aata hu....

Hope k aap sabko pasand aaye aur jo log apne apne gharo se door, apne jhoote sapno ko poora karne me lage hain, unko mera ye kehna hai k jis insaan k ye sapne poore ho jate hain, wo poora hone k baad apne ko adhoora mehsoos karta hai... Aur kuch k to poore he nahi hote aur zindagii un jhoote sapno k peeche bhaagte-2 guzar jati hai.. Aur aakhir me milta hai unko 'shoonya' .. Conclusion ye hai k apno se door mat jaao... Ve he tumhare... sachhe saathi hain



Jab Tu Paida Hua Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sochon Se Bhi Door Tha.
Haath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The,
Teri Aankhoon Mein Duniya Ke Sapne Na The.
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha,
Doodh Pee Ke Kaam Tera Sona Hi THa.
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri,
Tujh Ko Dil Mein Basaya Tha Maa Ne Teri.
Maa Ke Saaye Mein Parwan Chadhne Laga,
Waqt Ke Saath Qad Tera Badhne Laga.
Aahista Aahista Tu Kadiyal Jawaan Ho Gaya,
Tujh Pe Sara Jahaan Mehrbaan Ho Gaya.
Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga,
Khud Hi Sajne Laga Khud Hi Sawarne Laga.
Aik Din Ik Haseena Tujhe Bhaa Gayee,
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Aa Gayee.
Farz se Apne Tu Door Hone Laga,
Beenj Nafrat Ka Khud Hi Tu Bone Laga.
Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhoolne Laga,
Teer Baaton phir Tu Chalane Laga.
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga,
Qaida Ik Naya Tu Phir Padhne Laga.
Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ik Din,
Abb Hamara Guzara Nahein Tere Bin.
Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Mein Aagaya,
Tera Ghussa Teri Aqal Ko Kha Gaya.
Josh Mein Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha,
Mein Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha.
Aaj Kehta Hoon Peechha Mera Chhod Do,
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do.
Jaao Jaa Ke Kahein Kaam Dhanda Karo,
Log Marte Hein Tum Bhi Kahein Jaa Maro.
Baitth Kar Aahein Bharte The Woh Raat Bhar,
Unki Aahoon Ka Tujh Par Hua Naa Asar.
Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar,
Kese Bikhri Thi Phir Teri Maan Toot Kar.
Phir Woh Be Bas Achal Ko Bhulaati Rahi,
Zindagi Usko Har Roz Sataati Rahi.
Ek Din Mout Ko Bhi Taras Aagaya,
Uska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya.
Ashk Aankhoon Mein The Woh Rawana Huee,
Mout Ki Ek Hichki Bahana Huee.
Ik Sukoon Uske Chehre Pe Chhane Laga,
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaane Laga.
Muddatain Ho Gaey Aaj Budha Hai Tu,
Jo Pada Tooti Khatiya Pe Kora Hai Tu .
Tere Bache Bhi Ab Tujh Se darte Nahein
Nafratein Hain ..Mohabbat Woh Karte Nahein.
Dard Mein Tu Pukare O MERI MAA,
TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN.
Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahein,
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahein.
Ban Ke Ibrat Ka Tu Ab Nishan Reh Gaya,
Dhonde Zor Tera Kahan Reh Gaya.
Tu Ehkam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maa Baap Ko Tu Satata Raha
Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo,
Tujh Ko Kaise Mile Tu Ne Khoya Tha Jo.
Yaad Kar Ke Guzra Dour Tu Rone Laga,
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga.
Mout Maange Tujhe Mout Aati Nahein,
Man Ki Saarat Nigahoon Se Jati Nahein.
Tu Jo Khaanse To Aulad Dante Tujhe,
Tu Hai Nasoor Sukh Koun Baante Tujhe.
Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par,
Ban Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par.
QADAR MAA BAAP KI AGAR KOI JAAN LE,
APNI JANNAT KO DUNIYA MEIN PEHCHAN LE.
Aur Leta Rahe Woh Badhon Ki Dua,
Us Ke Dono Jahan... Uska Ka Haami KHUDA.
Yaad Rakhana Tum Mere Is Baat Ko,
Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT KO...

DEEPAK


ordhkar baadalon ko, id chaand ko sote dekhta hoon,
in aankhon se aise, main dilkash manzar dekhta hoon,

wo door hai mujhse jab bhi ye mehsoos karta hoon,
ek hi pal mein usko, main apne andar dekhta hoon,

ek umr guzri pyaar ke boond ko tarasta raha,
ab ke baras "lekin chahaton ka samandar dekhta hoon,

kya hoga uske bagair mera jab bhi sochta hoon,
seene pe mera utarta, ek tezz khanjar dekhta hoon,

usko main apne ander dekhta hoon,

1 comment:

  1. hi deepak.....i really liked the lines from you.u write very well.keep it up.well, i m naveen saini frm muzaffarnagar UP.i also write. u plz check out my blog-- http://thevirtualnaveen.blogspot.com
    and give me some tips so that i can elaborate my writing more. ......

    ReplyDelete